By: Keyur Seta
Kab tak phool barsenge naye saal par,
Yeh bhi ho jayega ek din purana,
Sookh jayenge tab yeh saare phool,
Samaapti ka iski karega intezar zamana
Door ho jayegi sabhi duvidhayen,
Naye saal mein hoga naya savera,
Nav-varsh lagta atyant bharosemand,
Jhooti ummeeden ban jaati sahara
Purana hoga jab yeh naya saal,
Ho jayegi ummeed ki kiran ojal,
Dhoka de gaya yeh saal bhi,
Aao kare iska bhi qatal,
Naye saal mein kya hai nayapan,
Hai to keval tarikh mein badal,
Tu vijai ho saal ke pratyek din,
Paida kar utna aatmabal
(To follow this blog on Facebook, click HERE.)