Tag Archives: Hindi poetry politics

Poem – Sharabi ko badnaam karne walon…

Sharabi ko badnaam karne walon
Batao kaun yahan hosh mein hain

Satta ke bhookhe darinde satya ka galaa ghotne mein hain
Batao kaun yahan hosh mein hain

Unki puja mein magna janta apno se nata todne mein hain
Batao kaun yahan hosh mein hain

Patrakarita ka yogdaan ab asatya ke hawan-kund mein hai
Batao kaun yahan hosh mein hain

Dharam ke naam par aatank failakar kehte hain dharam khatre mein hain
Batao kaun yahan hosh mein hain

Sainiko ki veerta par apni mohar lagane ki aadat aaj badi zor mein hain
Batao kaun yahan hosh mein hain

Jhoot ke vigyapan nirantar doharakar ab satya keval shabdakosh mein hain
Batao kaun yahan hosh mein hain

Sharabi ko badnaam karne walon
Batao kaun yahan hosh mein hain

– Keyur Seta