By: Keyur Seta
Kuchh log kehte hain main kahin kho gayi hoon.
Kuchh ke anusaar meri kabki MAUT ho chuki hai.
Koi kehta hai main humesha se kewal ek BHRAM se zyada aur kuchh nahin rahi hoon.
Jabki sach yeh hai ki mera ASTITVA tha, hai aur rahega.
Kabhi main BOODHE vyakti ko sadak paar karvati hoon.
Kabhi kisi madhyam vargiya insaan ko DAAN dene ke liye prerna deti hoon.
Kabhi kisi ko durghatna mein ghayal hue ANJAAN aadmi ko aspataal pohochane ke liye tatpar karti hoon.
Agar NAKARATMAKTA ka chashma utaar kar dekho toh main har jagah maujood hoon.
Kal subah ugne wala SOORAJ bhi is baat ki gawahi dega ki…
…main ZINDA hoon.
– INSAANIYAT
Leave a Reply