The Common Man Speaks

30Dec/118

Naye Saal Ka Naya Veham (New Year Poem)

Kab tak phool barsaoge naye saal par,
Yeh bhi kisi din ho jayega purana,
Sookh jayenge tab yeh saare phool,
Samaapti ka uski karega intezar zamana

Door ho jayegi sabhi duvidhayen,
Naye saal mein hoga naya savera,
Nav-varsh lagta atyant bharosemand,
Jhooti ummeeden ban jaati sahara

Purana hoga jab yeh naya saal,
Ho jayegi ummeed ki kiran durlakshya,
Hoga intezar iske bhi ant ka,
Hay chakravyuh mein fasa hua manushya

Naye saal mein kya hai nayapan,
Hai to keval tarikh mein badal,
Vijay mil sakta saal ke har ek din,
Paida kar le utna aatmabal